Get Latest Advance Knowledge Of Computer

Latest

Sunday, 11 November 2018

Protect Your Self From SIM Swaping - SIM Swaping Kia Hota Hai?


SIM Swaping Ya Sim Swap Fraud Ek Aisi Cheez Hai Jis Se Apko Agah Rehna Chaye Hai,Jisko Online Banking Scam Bi Kaha Jata Hai.SIM Swaping Main Apko Ek Call karke Apke Sim Ka Duplicate Bana Diya Jata Hai Jis Se Apke Bank ke OTP ko Basani Koi Bi Fraud Ya Koi Bi Hacker Bypass Kar Sakta Hai.Yahan Pe Ek Fraud Ya Hacker Subse Phele Apka Information Gather Karta Hai. Jese Ke Apke Social Media Accounts Apka National ID Card Number Even Apka Exact Address Aur Apke Details Jis Se Wo Apke SIM Ko Band Kar Sake Aur Uska Ek Duplicate Bana Sakey.Aur Jab Kisi Fraud ke Pas Apki Sari Basic Jankari Hogi Tho Wo Apke SIM Operater Pe Call Karke Apka SIM Easily Band Karwa Sakta Hai,Aur Jab Ek Bar Apka SIM Band Hojaye Tho Wo Hacker Apka Number Dobara Open Karwa Sakta Hai Kisi Bi Mobile Operator’s Retail Shop Pe Ja Kar aur Apki Fake ID-Proof De kar, Aur Jab Same Number Ka SIM Active Hojaye Tho Wo Basani Apke OTP Verification ko Bypass Kar Sakta Hai.


Ab In Types Ke Attacks se Kese Prevent Avoid Karien.?
  • Apko Turant Action Lena Chaye Hai Agar Apka Number 2 3 Din Se Band Hai Aur Koi Signal Nahi ah raha hai.
  • Apney Bank Se Instant Alert Register Karwayen-Aur kisi bi Unknow email ya Number ka response na karein.
  • Aur Apne Mobile Main Block Spammer Application Download Karke Unknow Numbers Ko Block Karein.
  • Apna Number Untrusted Website,Apps Ya kisi Aise Ko Na Den Jisko Ap Nahi Jante.

2 comments: