Get Latest Advance Knowledge Of Computer

Latest

Thursday, 15 November 2018

The Hacker - A Power Of Freedom - A Voice Of Change By DedSec


What Is Hacker / Hacking?
Hacker Ya Hacking Ek Shaks Ke Andar Basi Puri Dunya Ko Kaha Jata Hai, Jahan Ke Janam Lene Waley Khuwahisat Apni Azadi Se Jo Chayein Wo Kar Sakte Hain, AUR, Is Dunya Ka Aam Dunya Se Door Tak Koi Taluq Nahi Hota.

Normaly Log College Se Pass Out Hokar Hacking Ke Field Main Jump Karte Hain Ya Koi University Life Ke Bad Ya Uske Dooran, Hacking Ki Community Main Self-educated Hacker Ko Zaiyda Respect Deya Jata... Qk Jo Khud Sekta Hai Uske Pas Har Cheez Ka Knowledge Hota Hai, Aur Jo Kahin se Seekh Kar Aya Hai Tho Ek Limited Edition Kaha Jata Hai Ke Uske Pas Wahi Hai Jo Usko Bataya Gaya Hai.

Hackers Ke Pas Programming Language Ka Zaiyda Knowledge Nahi Dekhne Ko Milta Hai Most Of Cases Main Liken Un Main Kuch Hain Jo Jante Hain Jinke Naam Ab tak Dunya Main Samne Aye Hain.

Hacker Tab Tak Hacker Nahi Rehta Ya Nahi Banta Jab Tak Wo Apni Puri Identity Ko Chupa Na Sake, Apni Pechaan Ko Chupa Kar Rakna Tho Muskil Si Baat Hai Liken Yeh First Rule Of Hacking Kaha Jata Hai.

Jo Ek Baar Agar Is Dunya Main Kadam Rakh Ley Jisko Hacking Kehte Hain, Uski Zindagi Waqt Ke Saaath Badalna Shoro Hojayega, Aur Wo Insan Har Waqt Kuch Naya Karna Chahega Aur Uski Social Life Katam Hona Shoro Hojayegi Aur Wo Shayad Ganton Tak Khamosh Raahe.

Hacker ke Pas Technology Ke Knowledge K Saath Dunya Ki Har Cheez Pe Bi Nazar Hoti Hai Aur Wo Achi Tarah Janta Hai Kab Kahan Kiske Saath Kia Huwa Tha Aur Kis Date Aur Time Main Huwa Tha Aur Iska Subse Bada Source News-Media Hai.

Aj Ki Dunya Main Humare Samne Hazaron Cheezein Aisi Hain K Jinka Deep Knowledge Koi Normal Insan Nahi Rak Sakta, Internet Ko Sirf Videos Dekhne K Liye Ya New Friends Bananey K Liye Use Na Karein. Is se Agey Bi Ek Badi Dunya Hai Is main Ke Jiske Hazaron Raaz Humarey Samne Aj Tak Nahi Aye, Jab Tak Koi Insan Pakda Na Jaye Aur Jab Tak Social Media Ya Electronic Media Koi Jhoota Propaganda Na Karee.

~ Do not Disturb My Freedom On Internet ~

4 comments:

  1. Mashallah,
    Din ba Din aap ki website per teraqi ho rahi hai.
    Allah aap ko kamiaab kere .
    Ameen.

    ReplyDelete
  2. Sir,aap best misaal ho hamare liye..
    Thanks dil se...!!

    ReplyDelete